AK VEG RECIPES

Tuesday, 25 October 2016

Paneer Kofta: Paneer Kofta Recipe

Aaj ham stuffed Paneer Kofta banayege, inhe aap sham ke samay starter ke roop me bhi kha sakte hai aur tari banaa kar bhi, dono tarah se aapko ye behad pasand aayege.

Paneer Kofta ek punjabi Subzi hai, Jo uttar bharat me bohat hi lokpriya hai.Paneer ke fayde beshumaar hai. Iss liye paneer ko jada se jada apni recipes me shamil kijiye.

Inhe aap aloo ki jagah ubli hui palak, gobhi aadi se bharkar bhi banaa sakte hai.Aaiye suru karte stuffed Paneer kofta recipe.

How To Make Paneer Kofta

Paneer Kofta Recipe
Yah bhi Padhiye-How to Make Palak Paneer Recipe(Palak Paneer banane ki Vidhi)

Ingredients for Paneer Kofta Recipe-Avshyak Samgri

Kofta banane ke liye-
  • Paneer-300gram
  • Ararot-4 tablesapoon
  • Aloo-2-3 uble hue
  • Namak-1/2 choti chamach
  • Haldi powder-1/4 choti chamach
  • Hari mirch-2
  • Adrak(pisa hua)-1/2 inch tukda
  • Dhaniya powder-1/2 chota chamach
  • Amchur powder-1/4 chota chamach
  • Tel-kofte talne ke liye
Tari banane ke liye-
  • Tamatar-4 madhyam aakar ke
  • Hari mirch-3
  • Adrak-1 inch lamba tukda
  • Tel -2 tablesapoon
  • Jira-1/4 choti chamach
  • Hing-1 pinch
  • Haldi powder-1/4 chota chamach
  • Dhaniya powder-1 chota chamach
  • Cream-1/2 cup
  • Lal mirch-2 pinch
  • Namak-3/4 choti chamach
  • Garam masala-1/4 choti chamach
  • Haraa dhaniya- baarik katra hua
  • Pyaj-2-3(agar aap chahe to)

How to Make Stuffed Paneer Kofta Recipe -Vidhi

Kofta Banane ki Vidhi-

Paneer me ararot aur 1/2 choti chamach namak dal kar, ashi tarah masal-masal kar paneer ko chikna aur mulayam kar lijiye.

Aloo chil kar baarik tod lijiye, namak, haldi powder, hari mirch,adrak, dhaniya powder, amchur powder daal kar milate  hue aate ki tarah gudh lijiye.

Paneer ke mishran se 12-14  gole tyar kar lijiye, aloo ke mishran se bhi utne hi gole tyar kariye.

Ab paneer ke ek gole ko lekar hatheli par rakhiye, chapta kijiye, aloo ka ek gola uthaiye aur paneer ke chapte kiye gaye gole ke upar rakhiye, paneer ko charo aur se utha kar aloo ke gole ko band karte hue gol kar lijiye.

Issi tarah paneer ke gole me aloo ke gole bhar kar saare gole tyar karke plate me rakhte jaiye.

Tyar gole set hone ke liye 20 minute ke liye freez me rakh dijiye.

Kofta talne ke liye kadhayi me tel daal kar ashe se garam kar lijiye, tel ashi tarah garam hone par 4-5 kofte tel me daal kar golden brown hone tak tal kar plate me nikal lijiye, saare kofte issi tarah tal kar tyar kariye.

Aapki stuffed cheese balls tyar hai aap inhe starter ke roop me bhi kha sakte hai.

Tari(gravy)banane ki Vidhi-

Tamatar dho kar tukdo me kaat lijiye, hari mirch ko danthal tod kar dho lijiye, adrak chil kar dho lijiye aur tukde kar lijiye, saari chije mixer me daal kar barrik masala pis lijiye.

Kadhayi me tel daal kar garam kariye, tel jeera aur hing daaliye, jeera halka brown hone par haldi powder, dhaniya powder daliye masala halka sa hi bhunne par pisa hua masala aur lal mirch daaliye 2-3 minute isse bhuniye.

Ab cream daal kar masale ko tab tak bhuniye jab tak ki masale ke upar tel na aa jaye.

Ab bhune hue masale me apni ishanusaar ya 2 cup paani, namak, garam masala daaliye.

Tari me ubaal par 2-3 minute pakne dijiye.

Tari ban chuki hai, gas band kar dijiye, tari me kofte daal kar dhak dijiye. 

Aapki stuffed paneer kofta ban kar tyar hai, isse pyale me nikal kar hare dhaniya ke sath sajaa kar garam -garam chapatiyo ke sath parosiye.

Tips-

  • Paneer Kofte banane ke liye paneer me ararot daal kar, ashi tarah masal-masal kar chikna kar lijiye.
  • Paneer me ararot kam hone par kofte tel me fat sakte hai.
  • Kofte talte samay tel paryapt garam hona chahiye, inhe dhimi aag me mat taliye.Kam garam tel me kofte daalne se ve tel me fat sakte hai.
  • Kofte talte samay ek sath bohat jada kofte tel me mat daale anytha ve tut sakte hai.
  • Tari me kofta daalne ke baad tari ko ubaale nahi dhak kar rakh dijiye.Agar ab tari ko jada ubaalege to kofte jada mulayam ho kar fat sakte hai.

Serving Ideas- 

  • Paneer ke tale hue kofte ko aap Tomato sauce ya hari chatni ke sath ek nashte ke roop me paros sakte hai.Paneer kofte ki curry ko Butter naan, paratha ya roti ke sath lunch ya diner me paros sakte hai.
Yah bhi Padhiye-How to Make Palak ke Pakora(Palak Pakora banane ki Vidhi)

May Also Like-

Bridal Lehenga                 
Price- $394.00        
Subscribe Us by Email and Get Free Updates On Hot Topics!
Share:
"+y+""}else{if(A==5){c+='
  • '+w+""+y+"
  • "}else{if(A==6){c+='
  • "+w+'
    '+u+""+y+"
  • "}else{c+='
  • "+w+"
  • "}}}}}s.innerHTML=c+=""+y;d.callBack()};randomRelatedIndex=h;showRelatedPost=g;j(d.homePage.replace(/\/$/,"")+"/feeds/posts/summary"+e+"?alt=json-in-script&orderby=updated&max-results=0&callback=randomRelatedIndex")})(window,document,document.getElementsByTagName("head")[0]); //]]>
    ← Newer Post Older Post → Home
    Copyright © Veg Recipes About | Privacy | Contact