AK VEG RECIPES

Wednesday, 11 January 2017

Easy Veg Recipes: Vegetarian Main Dishes

Hello Friends, How are you all? Are you looking for Easy Veg Recipes? If yes, then you're at right place. 

Here, I'm going to tell you a simple and easy way to Easy Veg Recipes language which is most using language in India.

So, let's start and learn Easy veg Recipes. Here we go;

Aaj ham aapko Easy Veg Recipes batayege, jaise ki- chole bhature, paneer tikka masala, eggless cake recipes, chatni recipes, sweet recipes etc.

Jo banane me to aasan hai hi sath hi sath me khane me bhi lajvab hai.To Easy Veg Recipes banana sikhiye meri in saral aur swadist recipes se.

Easy Veg Recipes

easy veg recipes

1. Mirch ka Achar-Jhatpat-

Mirch ka achar

Kati hui hari mirch ko saunf, methi dana aur masale ke sath sirka mila kar turat-furat banne vala mirch ka achar samany achar jitna hi swadist lekin bnane me bohat aasan hota hai......Read more(Recipe Padhiye)

2. Adrak Hari Mirch ka Achar-

Adrak, Hari Mirch ka Achar

Tikhe ke shokino ke liye aaj ham khas adrak hari mirch ka achar ki recipe laye hai.Patli hari mirch, adrak, sarso aur sirke se tyaar hone vala yah achar kafi chat-pta aur majedar hota hai.......Read More(Recipe padhiye)

3. Lemon Pickle Recipes-

lemon picklelemon picklelemon pickle



Hello Friends😊,
   खाना कोई भी हो लेकिन उसका असली स्वाद 😋अचार के साथ ही आता है और अगर😋 नींबू का अचार😋 मिल जाए तो मजा दोगुना हो जाता है.
Paaram-parik roop se nimbu ka achar 20-25 din me ban kar tyaar hota hai, lekin nimbu ka achar thodi matra me banana ho to nimbu ka achar turat-furat bhi banaya ja sakta hai.

Lekin Nimbu ka Achar kayi tariko se banaya ja sakta hai.Nimbu ka Masale ka Achar, Nimbu ka Sada Achar, Mitha Nimbu ka Achar, Tel ka Nimbu ka Achar, Sabut Nimbu ka Achar Etc.
Nimbu ka Achar Kafi din chalta hai aur swadist bhi hota hai.To aaiye aaj ham aapko Nimbu ka Achar banane ki alag-alag recipes batate hai........Read More(Recipe Padhiye)

4. Shakarkand ki Chaat Recipe-

Shakarkand ki Chaat

Sardi ke mosam me garma-garam chatpati chaat khane ka mja hi nirala hota hai chahe vo aloo ki chaat ho ya any samgri ki.Aaj ham Sweet Potato Chaat Recipe (shakarkand ki chaat) banayege, jo aap sabhi ke man ko behad bhayegi.......Read More(Recipe Padhiye)

5. Aloo Tikki Chaat Recipe-

Aloo tikki chaat uttar bharat ke sarvadhik lokpriya street foods me se ek hai.Inn tikkiyo ko matar ya chane ki daal ki stuffing ke sath banaa kar matar ya chane ke chole ke sath parosa jata hai aur bina kisi stuffing ke khatti mithi chatniyo aur dahi ke sath bhi .Aaj ham turat-furat banane vali aloo tikki chaat banaa rahe hai........Read More (Recipe Padhiye)

6. Roasted Poha Namkeen Recipe-

Roasted Poha, Namkeen

Roasted poha namkeen lagbhag bina tel me bani hui, bohat hi jaldi ban jane vali namkeen hai lekin swad me kisi se bhi kam nahi.Jab bhi kabhi kuch kurkura khane ka man kare to jhatpat banne vala Roasted Poha Namkeen Recipe banana mat bhuliye........Read More(Recipe Padhiye)

7. How to Make Chole Bhature: Recipe in Hindi-

Chole Bhature Recipe

Chole Bhature punjab ki pasandida dish hai.Khane me bohat hi lajvab.Isse pure uttar bharat me bade hi maje se subah ke nashte me parosa jata hai.Jab bhi aap bajar me kharidari karne jaye to inki khushbu aapko apni aur khich hi leti hai.Agar aapne kabhi bhatura ghar par pehale banaya hai to aapne bajar me bane aur ghar me banaye hue me farak to mehsus kiya hi hoga.Aur bhature ke sath chole banane ka bhi bhin tarika hai.Jadatar kabuli chane ko kala ya to chay patti se karte hai ya fir sukhe amla se .To aaiye banate hai Chole-bhature.........Read More (Recipe Padhiye)

8. How to Make Mix Veg Makhani-


Mix Veg Makhani
Kisi bhi shubh avsar ya party ke liye ekdam khas sabji mix veg makhani naan, chapati, parathe, chaval ya poori ke sath apne menu me shamil kijiye, sabhi iske swad ke gun gane se khud ko rok nahi payege........Read More(Recipe Padhiye)

9. Dahi Vada Recipe-

Dahi Vada Recipe

Dahi vada khane me bohat swadist hota hai.Tyohar ya any kisi avsar par tala kha kar aapki tapiyat trapt ho gyi ho to dahi vada aapke pet ka bhi dhyan rakhega aur swad ka bhi, dahi vada urad ki dal se, urad dal aur mung dal mila kar aur sirf mung dal se bhi dahi vade banaye jaate hai, aaj ham urad ki dal se dahi vade bana rahe hai.Aaiye dahi vada Recipe banana shuru karte hai.........Read More(Recipe Padhiye)

10. How to Make Paneer Tikka Masala Gravy-

Paneer Tikka Masala, Gravy

Aaj ham aapko ek rajsthani sabji banana sikhate hai.Dahi aur desi masalo ke sath merinet kiye hue paneer ko oven ya tave ke upar halki aanch par bhun kar masale-daar rich makhani gravy me  bana paneer tikka masala gravy  paneer ki sabse adhik pasand ki jane vali recipes me se parmukhya hai.Ham isse kisi bhi khas avsar par khas mehmano ke liye bana sakte hai.Yah dish rajsthan me kafi pasand ki jati hai.To aaiye banate hai Paneer Tikka Masala Gravy..........Read More(Aage padhiye)

11. Kadai Paneer Recipe-

Kadai Paneer Recipe

कडाई पनीर को रोटी या चावल के साथ परोसा जाता है.
Kadai Paneer, Shimla Mirch, Pyaj, Tamatar aur Paaramparik Indian masalo ka ek mouhtwatring mishran hai, Jo tel ya Ghi me pakaya jata hai.Kadai Paneer sabse lokpriya pakvano me se ek hai.Yah ek Turat-Furat banne vali dish hai, Jise 15 min ke andar banaya ja sakta hai.Paneer se lagbhag sabko pyar hota hai, aur mujhe to paneer bohat pasand hai.Mujhe paneer se banne vale naye-naye pakvano ko banane ki koshis karna asha lagta hai.
Aap mere blog me, paneer se bane bohat saare vyanjan dekh sakte hai.To aaiye ab banana suru karte hai Kadai Paneer........Read More (Recipe Padhiye)

12. Paneer Masala Recipe-

Paneer Masala Recipe

This is fast to make and taste yummy with chapati or poori or bhaturas.It has been a while since I shared any paneer recipes, so I decided to make this quick fix curry and share it with you all. Hope you will give this a try and let me know how it turns out for you......Read More (Recipe Padhiye)

13. Paneer Butter Masala-

Paneer Butter Masala is one of the most famous paneer dishes along with palak paneer, Kadai paneer, chili paneer, malai kofta and matar paneer.It is served in almost all Indian restaurants.

Paneer Butter Masala also is known as Paneer Makhani is a  vegetarian dish from India which is also popular in the west.Let's Make Paneer Butter Masala.....Read More (Recipe Padhiye)

14. How to Make Aloo Matar Curry Recipe-

Aloo Matar Curry

Badi aasani se aur turant ban jaane vali aloo matar curry ki sabji sabhi ke gharo me aksar banayi jati hai.Sukhi aur taridaar dono hi tarah se tyaar hone vali iss curry ka swad behad badhiya hota hai.Aaiye ham aur aap mil kar banaye swad se bhari aloo matar ki sabji.......ReadMore(Recipe Padhiye)

15.Tamatar ki Kadhi-

Tamatar ki Kadhi

Besan ke sath tamatar milakar banayi,khas khate svad vali tamatar ki kadhi,chapati ya chaval kisi ke bhi sath parosi ja sakti hai.jab bhi sabjiya khane ka man na ho aur dahi ki kadhi ko chalate rehane ka man na ho to tamatar ki kadhi bnana mat bhuliye......Read More(Recipe Padhiye)

16. Aloo Matar Recipe-

aloo matar recipe

Hello Friends, Aaj ham banayege Aloo Matar Curry Recipe.Maine isse kal breakfast me banaya tha raagi poori ke sath.Iska swad lajwab tha.Maine isse Pyaaj aur Garlic paste ka tadka lgaa kar banaya.Aap bhi iss recipe ko jarur try kariye aur mujhe batana na bhule ki aapko ye recipe kaisi lagi.Aaiye banana suru karte hai Aloo Matar Recipe.........Read More (Recipe padhiye)

17. Dalia Recipe: Dalia Recipe for Weight Loss

Dalia Recipe

Dalia khane me swadist lekin banane me bohat aasani se banne vala bhojan hai.Bache aur bade sabhi ke liye postic hai.Yah bohat jaldi pachne vala aahar hai,iss liye asvasthya logo ke liye aur weight loss karne ke liye dalia recipe bana kar mung dal ya dudh ke sath diya jata hai.To aaiye banate hai dalia recipe........Read More(Recipe Padhiye)

18. How to Make Papad ki Sabji-

Papad ki Sabzi
Papad ki Sabji param-paragat rajsthani recipe hai,jise turat-furat papad fry karke dahi ya tamatar-dahi ki gravy me banaya ja sakta hai.Usse chapati,missi roti,bajra roti ya parathe ya fir chaval ke sath bhi paros sakte hai..........Read More(Aage padhiye)

19. How to Make Rajma Curry-

Rajma Curry, Recipe

Sabse mashhur punjabi khana kaun sa hai?Chole-bhature,makke ki roti, sarso ka saag ya rajma, jvab dena mushkil hai.Rajma curry punjab ka pasandida bhojan hai, rajma me protin adhik matra me paye jate hai.Jada log Rajma ko uske swad ke karan pasand karte hai.Lekin agar aap Rajma ke gun jan jayege,to isse aur jada pasand karne lagege.Rajma me Iran,fiber,vitamin k, vitamin b, magnesium,phosphorus, potassium bharpur matra me paya jata hai.Iss vajah se ye sharir ko bharpur urja dene , pachan ko durast karne , dimag ko boost karne aur sugar, cholesterol ko niyantrit karne me aham bhumika nibhata hai.Hame yakin hai ki aapko yah punjabi rajma curry recipe bohat pasand aayegi. To aaiye banate hai Rajma Curry Recipe..........Read More(Aage padhiye)

20. How to Make Jeera Aloo Recipe-

Jeera Aloo Recipe

Hello dosto,aaj ham jeera aloo recipe bnayege .jeera aloo uttar bhartiya logo ki khas recipe hai.Jeera aloo ko har trah ki roti,pratha,kulcha,tanduri roti aadi ke sath serve kiya ja sakta hai.yah bnane me bohat hi asan hai aur agar aloo pahle se uble hue ho to yah 5 minute me tyar ho jati hai.........Read More(Recipe Padhiye)

21. How to Make Urad Dal-

Urad Daal, Recipe

Urad daal tadka adhiktar uttar bharat me banayi jati hai.Sabut masalo ko taja kut kar banayi urad dal, hing aur sabut lal mirch ke tadke ke sath khas-kar uttar bharat ke dhabe ki bahu-tayat me parosi ja sakti hai..........Read More(Recipe Padhiye)

22. How to Make Dhaba Style Mung Daal Recipe-

Mung Daal, Recipe

Mung ki Daal sabse jaldi pachne vali daal hai.Jab kuch halka fulka lekin jaykedaar khane ka man ho tab mung daal tadka banaiye,yah sabhi ko bohat hi pasand aatihai.Di gayi swadist recipe ko dhyan se padhiye aur hame comment karke jarur bataye ki yah Mung Daal Dhaba Style recipe aapko kesi lagi.........Read More (Recipe Padhiye)

Hello dosto,daal makhani recipe ek bohat hi pasandida punjabi recipe hai.Yah  ek savaadist aur creamy daal hai,yah jitani savaadist hai utani hi postic bhi hai.To aaiye suru karte hai daal makhani banana.........Read More(Recipe Padhiye)

24. MungDaal Turai Recipe-

Mungdaal, Turai

Swasthya-vardhak turai bohat se log kam khana pasand karte hai, lekin daal ke sath mix karke mungdaal turai banayi jaye, to ek alag hi swad milta hai..........Read More(Recipe Padhiye)

25. Chocolate Cake Recipe-

Chocolate Cake





Janam-din, salgirah ya vishes utsav cake ke bina adhure se lagte hai.Bajar me kyi flavours ke cake aasani se mil jaate hai, par khud ke hatho se bane cake me swad ke sath-sath saneh bhi chupa hota hai.To iss baar kisi bhi khas mauke par ghar par cake banaiye aur sabke chehre par muskan le aaiye..........Read More(Recipe Padhiye)

26. How to Make Eggless Almond Cake Recipe-

Almond Cake

Cake ka naam sunte hi bacho aur bado sabhi ke muh me pani aa jata hai.Aur fir cake agar eggless badam cake ke roop me ho to kya kehna.Yah cake apne nirale swad ke karan sabhi ka man moh leta hai.Sabut badam ko chilka sahit peeskar banaya gaya eggless badam cake bacho aur bado sabhi ko bohat pasand aata hi hai,banane me bhi bohat aasan hai.To aaiye aaj jante hai eggless almond cake recipe............Read More(Aage padhiye)

27. How to Make Eggless Black Forest Cake-

Kya aap aksar bakry se black forest cake lete hai kyoki aapko yah lagta hai ki isse banane me kafi time lagta hai?Agli baar, 1 chocolate spong cake ghar laye(ya apne aap ghar par banaye) aur aap iss black forest cake ko apni rasoi me minto me tyaar kar sakte hai.Iss shakkar se ladi cake ko creamy roop aur khatta-pan whiped cream ki parat aur cheries se milta hai, aur sath hi chocolate colors aur rasbhari cherry se sajane ke baad isse khane se koi bhi mna nahi kar sakta.Isse aur bhi behtarin banane ke liye dark chocolate colors ka paryog bhi kar sakte hai.To aaiye banate hai Black forest Cake meri iss yummy aur easy recipe se..........Read More(Aage padhiye)

28. Barbie Cake Recipe-

BarbieDoll, Cake
Aaj mai aapke liye ek khas recipe le kar aayi hu,jiska naam hai Barbie Doll Cake or Barbie Doll Birthday Cake.Yah khane me to yummy hai hi ,dekhne me bhi bohat hi jada pretty hai.To aaiye banate hai Barbie Cake.......Read More (Recipe Padhiye)


29. No Bake Strawberry Cheesecake Recipe-

Strawberry Cake
Aaj ham banayege no bake strawberry cheesecake ,itna yummy ki dekhte hi muh me pani aa jaayege,aur banane me bhi aasan hai.Yah bacho ko bohat pasand aata hai.Aaiye banate hai strawberry cheesecake........Read More(Recipe Padhiye)

30. Fresh Pineapple Cake Recipe-

Pineapple, Cake
Aaj ham banayege pineapple cake , yah  bohat hi yummy hota hai.Pineapple cake bacho ke sath-sath bado ko bhi bohat pasand aayega.........Read More (Recipe Padhiye)

31. Fruit and Nut Cake Recipe Easy-


Fruit and Nut, Cake
Fruit aur nuts se banaa eggless fruit and nut cake bohat hi yummy hota hai.Sardiyo me bacho ko bharpur energy ke liye ye swadist fruit and nut cake bnakar jarur khilaye,yah sabko bohat hi jada pasand aata hai.........Read More (Recipe Padhiye)

32. Christmas Cake Recipe-

Christmas Cake
Aaj ham aapke liye le kar aaye hai dher saare sukhe mevo se bana eggless Christmas Cake Recipe ki yummy-yummy recipe,jo banane me aasan aur khane me bohat hi swadist hai.To aaiye banate hai christmas cake recipe..........Read More (Recipe Padhiye)

33. Date Cake Recipe-

Date Cake

Eggless date cake Recipe bohat hi soft aur yummy cake hai.Yah ek khubsurat aur simple cake hai jo bina ando ke banta hai.To aaiye sikhiye kaise banaye eggless date cake..........Read More (Recipe Padhiye)

34. How to Make Matar Kachori-

Matar Kachori

Matar ki kachori banane me itni aasan hai,ki jab bhi chahe aap turant bana kar apne mehmano ko khila sakti hai aur ghar me kabhi bhi jab aapka man ho matar ki kachori bana kar kha sakte hai.To aaiye aaj ham matar ki kachori banate hai........Read More(Recipe Padhiye)

35. How to Make Soybean Pancake-

Soyabean Pancake

Protein, ayran va fiber se bharpur soyabeans kuch log kam pasand karte hai, lekin is se agar soyabean pancake banaya jaaye, to sabhi chat kar jaayege, upar se crunchy aur andar se naram pancake subah ke nashte ya bacho ke tifin ke liye perfect dish hai..........Read More(Recipe Padhiye)

36. How to Make Mirch Pakora(Vada)-

Mirch Pakora

Mirch vada rajsthan ka ek bohat hi famous street food hai jo khane me bohat hi swadist aur special dish hai aur rajsthan ke jodhpur shehar ka mirchi vada bohat hi jyada popular hai iss liye mirchi vada ko jodhpuri mirchi vada bhi kaha jata hai,yah vada chay aur cofee ke sath ya Isse kabhi bhi dhaniya podine ki chatni ya tamatar sauce ke sath khane me bohat hi asha lagta hai.Aap mirchi vade ko subah breakfast ya fir tea time par bana kar serve kar sakte hai.Rajsthani mirch vada moti kam tikhi mirch me bhuna hua aloo masala bharkar besan ke ghol ko lapetne ke baad tal kar banayi jati hai.To aaiye banate hai Mirchi Vada..........Read More(Aage padhiye)

37. Paneer Sandwich Recipe-

Paneer Sandwich, Recipe

Turat furat bhukh mitani ho aur kuch postic bhi chahiye, to sabse aasan vikalp hai paneer sandwich.Paneer aur manpasand sabjiyo ki bharavan se tyaar ye sandwich bhukh shant karne ke sath-sath aapke jaayke ko bhi badhiya kar dete hai...........Read More(Recipe Padhiye)

38.Veg Sandwich Recipe-

veg sandwich recipe

Veg Sandwich is easy to make as it is prepared only with Vegetable slices.Subah ya sham ke vaqt garma-garam chaay ya coffee ke sath Veg Sandwich mil jaaye, to din hi ban jaaye.आइये जानते हैं जल्‍द ही तैयार हो जाने वाले सैंडविच को बनाने की विधि-.....Read More(Recipe Padhiye)

39. Makki ke Khasta Pakora-


Makki ke paratha, halwa, upma, chapati to sabhi ne khaye hoge, aaj ham makki ke mix veg pakora banayege jo ki besan ke pakora jitne hi swadist aur kurkare hota hai....Read More(Recipe Padhiye)


40. How to Make Cheese Stuffed Naan: Tave ya Oven Me-

Cheese Stuffed Naan

Sada naan to khane me asha lagta hi hai,lekin bharva Naan aur bhi swadist lagte hai,bharva naan ham paneer ke,aloo ke, daal ke aur gobhi ityaadi anek chijo ke banaye ja sakte hai.Saare bharva naan banane ka tarika to yahi hoag.

Aaj ham Cheese Stuffed Naan banayege.To aaiye banana shuru karte hai Cheese Stuffed naan..........Read More(Aage padhiye)


41. How to Make Potato Stuffed Naan-

Potato Stuffed Naan

Potato stuffed naan bhi utna hi jada swadist lagta hai jitna ki paneer stuffed naan,isse banana bhi aasan hai.To aaiye banate hai Potato Stuffed Naan....Read More(Recipe Padhiye)

42. How to Make Butter Naan Recipe-

Butter Naan Recipe

Rojana ke parathe,chapati se yadi kuch alag naan khane me bane ho to sabhi bohat khush honge.Issi liye aaiye aaj sham ke khane me naan banate hai...........Read More(Recipe Padhiye)

43. How to Make Dahi Vali Chatni-

Dahi Vali Chatni

Dahi dhaniya ki chatni ya Dahi Vali Chatni khas pasandida desi chatniyo me se ek hai.Isse Momos,tanduri paneer tikka, aloo vages,biryani se lekar dosa ,samosa,roti,sabji,chaval tak kisi ke bhi sath paros sakte hai.To aaiye ham banate hai Dahi Vali Chatni........Read More(Recipe Padhiye)

44. Besan ki Chatni Recipe-

besan ki chutney



Khatte dahi aur besan ko pka kar ,desi masalo ke tadke se bani Besan ki chatni dosa,idali,fafda ke sath paros sakte hai..........Read More(Recipe Padhiye)

45. Aloo Bukhara Chutney Recipe-

aloo bukhara chutney
Utari bharat me khastaur par partiyo me serve ki jane vali aloo bukhara ki chutney poori, parathe, pulao, kachori ityaadi ka swad do-guna kar deti hai..........Read More(Recipe Padhiye)

46. Palak Chutney Recipe-

Palak ki Chutney
Bhuni hui urad aur chane ki daal ke sath palak ke patto ki hari chatney jitani khane me swadist hai,utani hi dikhne me.Isse ham idali,samosa ,pakora ya fir chaval pulav ke sath parosiye ,aur yah sab bhi nahi to sirf bhune hue papad ke sath bhi iss chutney ko paros kar dekhiye ,sabhi ko bohat-bohat pasand aayegi..........Read More(Recipe Padhiye)

47. Tomato Ketchup Recipe-

Tomato Ketchup

टमाटर सॉस (Tomato Ketchup Recipe) के बिना स्नैक्स की कल्पना भी नहीं की जा सकती.
Aajkal bajar me tamatar behad saste hai.Yahi sahi samay hai ghar me tamatar ketchup bnane ka,ghar me bna tamatar ketchup aapke saare parivaar ko bohat pasand aayega..........Read More(Recipe Padhiye)

48. Green Chili Sauce Recipe-

Green Chili Sauce

Green chilli sauce ko samose,kachori ya pakora ya sandwich,chowmein,manchurian,pulao ya pasta upyog ki jaati hai.Isse banana bohat aasan hai..........Read More(Recipe Padhiye)

49. How to Make Amritsari Aloo Kulcha-

Amritsari Aloo Kulcha

Kulche, parathe athva poori ka ek behtar vikalp hai,jo kisi tyohar ya party ke mauke par tandur me banaye jaate hai.Inhe sada bhi banaya ja sakta hai aur paneer athva aloo bhar kar bhi .Kuch log inhe Oven me bhi banate hai.Lekin aaj ham aapko ghar par sadharan tave par kulche banane ki recipe bata rahe hai.Hame yakin hai ki ye recipe aapko bohat hi pasand aayegi..........Read More (Recipe Padhiye)

50.RasMalai Recipe-

RasMalai Recipe

Rasmalai Recipe banane me jitani muskil dikhti hai utni hai nahi.Log isse aksar Festivals ya party ke liye banate hai, aur ab to bohat hi khas tyohaar aane vala hai- Raksha Bandhan.To jaldi se yummy yummy rasmalai ghar par banaiye aur maje se khaiye...........Read More(Recipe Padhiye)


51.Malai Ghevar Recipe-

Malai Ghevar Recipe

Ghevar bohot hi swadist mithai hoti hai, aur ise 56 bhog ke andar hi gina jata hai.Savan aur Raksha Bandhan me ghevar ki special demand hoti hai.Malai Ghevar kaise banate hai yaha se sikhiye.Ghevar me aapko kayi parkar ki varieties mil jayegi jaise ki- Plane Ghevar, Mawa Ghevar aur Malai Ghevar Recipe......Read More(Recipe Padhiye)

52.Panjeeri Recipe-

Panjeeri Recipe

Hamare yaha new mothers ke liye uski health ko dhyan me rakhte hue kayi parkaar ke khane bana kar diye jate hai, jinme se ek hai Panjeeri.Janmashtami bhi aane vali hai, aur janmashtami me parshad ke liye panjeeri (Panjeeri for janmashtami/Panjeeri Janmashtami parshaad ke liye) ek dam sahi hai.To aaiye banate hai Panjeeri Recipe........Read More(Recipe Padhiye)

53. How to Make Alsi ki Pinni:Punjabi Pinni Recipe-

Alsi ki Pinni
Alsi ki pinni sardiyo me khayi jane vali paramparik postic mithai hai,alsi ki pinni sardiyo me bna kar rakh lijiye,rojana 1-2 pinni khaiye,sardi,jukam,khansi,jodo ke dard sabhi me fayda pohchati hai.To aaiye banate hai punjabi pinni recipe....Read More (Recipe Padhiye)

54. How to Make Sonth ke Laddu-

Sonth ke Laddu
Sonth ke laddu paaramparik laddu hai.Sonth ke laddu sardi ke mosam me va kamar dard se aaram pane ke liye khaye jaate hai.To aaiye banate hai Sonth ke Laddu........Read More (Recipe Padhiye)

55.Shrikhand Recipe-

Shrikhand Recipe

Kesar aur ilaychi se lade malaidaar, chip-chipe shrikhand ke upar mile jule fal dale hue aur garma-garam puri ke upar daal kar parosa gaya, yah ek aisa vyanjan hai jiske liye aap kuch bhi kar sakte hai.Abhi iss jhatpat shrikhand vyanjan ke sath, aapko lalach nahi hoga, kyoki ab aap isse kabhi bhi bana sakte hai.To aaiye banate hai Yummy Shrikhand Recipe.....Read More (Recipe Padhiye)

56.Modak Recipe-

Modak Recipe

Ganesh Chaturathi ka parv aane vala hai.Samay aa gaya hai modak banane ka , jo ganesh ji ke pasandida hai.Yah Modak ki ek vyanjan vidhi hai, jaha chaval ke aate se bane modak ko gud aur nariyal ke mishran se bharkar banaya gaya hai.To aaiye banana suru karte hai ganesh ji ki pasandida Modak Recipe.....Read More(Recipe Padhiye)

57.Migi Paag Recipe-

Migi Paag Recipe
Migi Paag ek vrat ki recipe hai, jo vishes roop se krishna janmashtami par banaya jata hai, Migi Paag kharbuje ke bijo se banaya jata hai, iss liye yah bohat swadist hota hai.To aaiye sikhte hai kaise banta hai Migi Paag ya kharbuje ke bijo ka Paag.....Read More(Recipe Padhiye)


58. How to Make Coconut Laddu-

Coconut Laddu
nariyal laddu bohat swadist hote hai ,ek baar chakh kar dekhege to sare laddu khane ka man karega.Nariyal ke laddu kache nariyal se bhi bante hai ,agar aap kache nariyal se bna rahe hai to nariyal kaddukas karke 1 chamach ghi me bhun lijiye.Pke hue nariyal ko bhunne ki avyshykta(jarurat) nhi hai.
Aayie ham suru karte hai nariyal laddu banana.......Read More (Recipe Padhiye)

59. How to Make Besan ke Laddu-

Besan ke Laddu
Hello friends,Aaj mai fir aapke liye ek swadist sweet dish lekar hajir hu.Besan ke laddu ham kisi bhi tyohar par bna sakte hai,isme bohat kam ingredients lagte hai aur ye aasani se ban jate hai.Diwali par jab aapke khas mehmaan aaye to unhe besan ke laddu jarur khilaye.
Aaiye ham banate hai besan ke laddu.......Read More (Recipe Padhiye)

60. How to Make Mathura ke Pede-


Mathura ke Pede
Mathura ke pede se ashe aur swadist pede duniya bhar me kahi bhi nahi milte.Agar aap paaram-parik mathura ji ke pede ka ek tukda bhi chakhte hai to kam se kam chaar pede se kam khaye bina to reh nahi payege.Mathura ji ke pede gay ke dudh se banaye jate the,lekin aaj-kal gay ke dudh ki bjay bhens ke dudh se bhi banaye jate hai.Mathura ji ki pede banate samay mawa ko adhik bhuna jata hai,mawa ashi tarah bhuna hoga to pedo ki self-life bhi adhik hogi........Read More (Recipe Padhiye)

61.Kesar Sandesh Recipe-

Kesar Sandesh Recipe

Yah khaskar Raksha Bandhan special mithai hai, isse banana kafi simple hai.Isme kesar ka ghol dala jata hai, iss liye iska naam Kesar Sandesh hai.To aaiye sikhte hai Kesar Sandesh Recipe.....Read More(Recipe Padhiye)

62. How to Make Badam Katli Burfi-

Badam Katli Burfi

Aaj ham badam se burfi banayege.Badam Burfi kayi tarah se banayi jaati hai,lekin sirf badam aur chini se mila kar banayi badam katli ka svaad mawa ya condesed milk se mil kar banayi gayi badam katli se ekdam alag hota hai aur iski self life bhi adhik hoti hai.To aaiye banate hai Almond Burfi......Read More (Recipe Padhiye)

63. How to Make Pista Burfi-

Pista Burfi
Piste burfi to aapne khayi hi hogi par shop se kharid kar,par ab aapko kahi jaane ki jarurat nhi hai,ghar par hi svad se bhari burfi banaye aur khaye.
To aaj ham banayege pista ki burfi......Read More(Recipe Padhiye)

64. How to Make Milk Powder Kesar Burfi-

Milk Powder, Kesar Burfi
Milk powder se safed aur kesariya burfi ki parte mila kar banayi hui milk powder kesar burfi holi,diwali ya kisi bhi tyohaar par banayi ja sakti hai,agar mawa na ho ya jaldi se milk powder se mithayi banani ho to jaldi se is recipe ko banaa kar dekhiye.......Read More (Recipe Padhiye)

65. How to Make Balushahi-

Balushahi
Balushahi khane me ek dam khasta va swadist hoti hai aur isme mawa ka upyog nahi hota.
Dipawali ke parv par mithaiya to ham banayege hi.Mithaiyo ki adhik mang ke karan bajar me jo mawa milta hai,vah adhikans milavti hota hai issliye aisi mithai banana asha haijisme mawa upyog nahi hota , issliye aaiye aaj ham balushahi banaye......Read More (Recipe Padhiye)

66. How to Make Gur Papdi-

Gur Papdi
Gur ke kayi tarah ke mithe pakvan sardiyo ke mosam me khas-tor par banaye jaate hai.To kyo na aaj gur papdi banayi jaaye.Bhune gehu ke aate me gur aur mewe mix karke bani yah papdi swad aur sehat se bharpur hoti hai.......Read More (Recipe Padhiye)

67. How to Make Mawa Gulab-Jamun-

Gulabjamun
Gulabjamun uttar bharat ki mithai hai,gulabjamun mawa me maida dalkar banaye jate  hai ,paneer aur mawa se bhi gulabjamun banaye jate hai.Aaj ham mawa, paneer milakar gulabjamun banayege.
Aaiye ham banaye svadist gulabjamun.....Read More (Recipe Padhiye)

68.Bread Gulab Jamun Recipe-

Bread Gulab Jamun

Gulab jamun se jada swadist kya koi aur mithai ho sakti hai?Nahi na!
To aaj ham Gulab Jamun ki Recipe batayege lekin thodi si alag- aaj ham Bread Gulab Jamun Recipe batayege.Vese bhi khane ke baad kuch Mitha khane ka man karta hai.To aaiye jaldi se shuru karte hai, Bread Gulab jamun Banane ki vidhi.....Read More(Recipe Padhiye)

69. How to Make Rasgulla at Home-

Rasgulla

Aaj ham banayege rasgulla.Rasgulla ka naam sunate hi muh me mithas bhar jati hai.Isse bnana thoda muskil hai par thodi si practice se aasani se banaye ja sakte hai.
Aayie ham suru karte Rasgulla recipe.......Read More(Recipe Padhiye)

70. How to Make Gajar ka Halwa-

Gajar Ka Halwa

Aaj ham gajar ka halwa bnayege. Mehman to sabke ghar me aate hi rehate hai, isliye aaj ham mehmano ke liye delicious gajar ka halwa bnayege.
Ayie ham suru karte hai gajar halwa recipe......Read More(Recipe Padhiye)

71. How to Make Kaddu ka Halwa-

Kaddu ka Halwa
Khana khane ke baad man karta hai ki thoda mitha ho jaaye.Kaddu ki sabzi andhikans logo ko pasand nahi aati lekin agar kaddu ka halwa banaya jaaye to isse sabhi pasand karte hai.To aaiye fir banana suru kare kaddu ka halwa.

Kaddu ka halwa banane ke liye kaddu ek dam paka hona chahiye.Aap kache kaddu ka halwa bhi bana sakte hai lekin paka kaddu mithas liye hue hota hai jo halwa ke liye adhik upyukt hota hai........Read More(Recipe Padhiye)

72.Sevai Kheer Recipe-

Sevai Kheer Recipe

Sevai Recipe: Sevai Kheer Recipe ek swadist bhartiya mithayi hai, jo dudh aur sevai se banti hai.Sevai kheer ko khaastaur par festivals par banaya jata hai, jaise ki- Raksha bandhan, Eid, Holi aadi.To pesh hai aapke liye Thin pasta/Vermicelli ki kheer/Sevai Kheer Recipe/Sevai Recipe Raksha Bandhan ke liye........Read More(Recipe Padhiye)

73.Coconut Kheer Recipe-

coconut kheer recipe

Agar khane ke baad kuch mitha khane ka bohot man kar raha hai to isse jrur try kare, yah bohot hi swadist 😋kheer hai.To aaiye😊 banana suru karte hai coconut kheer recipe/nariyal ki kheer........Read More(Recipe Padhiye)

74. How to Make Rabri ki Kheer-

Rabri ki Kheer

Dudh me dardra pisa chaval mila kar pakaya aur fir rabri mila di iss tarah banayi hui kheer swad me ek dam alag hoti hai,isse kabhi bhi special avsar ya kisi bhi party me banaya ja sakta hai.To aaiye banate hai Rabri ki Kheer.....Read More (Recipe Padhiye)

75.Rabri Recipe-

Rabri Recipe

Rabri dudh se banne vali mithaiyo me sabse swadist hoti hai.Rabri muh me jate hi ghul jati hai, Rabri ka swad apne aap me bohat hi nirala hota hai.Aksar aap rabri khane ke liye bajaar(market)  me jate hai, lekin aap ghar par hi bohat swadist rabri bana sakte hai........Read More(Recipe Padhiye)


76. How to Make Gur ki Kheer-

Gur ki Kheer


Gur ki kheer rajsthan,uttar pardesh aur bihar ki paaramparik recipe hai.Sardi ke mosam me gur ki kheer khane me aur bhi adhik swadist lagti hai.Bihar me gur ki kheer ko Rasiya aur paschimi uttar pardesh (Western UP) me isse raskheer bhi kahte hai.To aaiye banate hai Kheer with jaggery recipe......Read More (Recipe Padhiye)

77.Sama Rice Kheer-

Sama Rice Kheer

Kya aapko kheer pasand hai, mujhe to bhohat hi jada pasand, par vrat ke dino me kheer kese khaye, isme sochna kya, samvat chaval or sama chaval ki kheer bnaiye aur svad se khaiye.Sama chaval(vrat ke rice) ki kheer bilkul usi trah se banti hai jaise ham sada chaval ki kheer banate hai, aaiye ham bnate sama rice kheer.......Read More(Recipe Padhiye)

78. How to Make Pizza without Oven-

Tawa Pizza


Pizza ham oven me banate hai,lekin oven na ho ya lite na ho to pizza tave par bhi aasani se banaya ja sakta hai,aur tave par bna pizza utna hi asha hota hai jitna ki oven me bna pizza.....Read More(Recipe Padhiye)
Noodles Spring Roll

Bacho aur young generation ko noodles spring roll bohat pasand aate hai.Aaj ham wrappers maida ko bel kar tave par sek kar tyaar karege........Read More(Recipe Padhiye)

Bread Paneer Rolls

Matar,masale paneer roll paneer ki stuffing ko taji bread me bhar kar banaye hue paneer bread rolls kisi bhi khas avsar par ya sham ko halke fulke nashte me bana sakte hai......Read More (Recipe Padhiye)

81. How to Make Bread Aloo Bonda-

Bread Aloo Bonda

Hello dosto ,aaj mai aapke liye  spicy and tasty bread aloo bonda ki easy recipe le kar haajir hu. Bread me aloo ki spicy stuffing bhare aur besan lapet kar banaye gaye garma-garam aloo bread bonda chatni ke sath parosiye aur khaiye.
Aaiye banana suru karte hai bread aloo bonda..........Read More(Recipe Padhiye)

82. How to Make Noodles Pakora-

Noodles Pakora

Baat jab noodles ki aati hai to ye to bache se lekar bujurgo tak sabko pasand hote hai aur barsat ya thand ke mosam me pakora khana kisko nhi bhayega ,hai na dosto sahi kahaa na maine.To aaj ham noodles pakora banayege.
Aaiye suru karte hai tasty noodles pakora banana........Read More(Recipe Padhiye)

83. How to Make Gobhi ke Pakora-

Gobhi ke Pakora

Hello friends,Thand ka mosam aur garma-garam chay ke sath pakora khane ka kuch alag hi svad hai.To aaj ham gobhi ko kaddukas karke yummy pakora banayege.
Aaiye suru karte hai pakora banana........Read More (Recipe Padhiye)

84. How to Make Tomato Soup-

Tomato Soup

Tamatar ka soup bohat hi swadist hota hai.Sardiya chal rahi hai aur peene ke liye agar garma-garam tomato soup mil jaaye to baat hi kya.To aaiye aaj ham tomato soup banate hai......Read More(Recipe Padhiye)

85. How to Make Veg Milk Soup-

Veg Milk Soup

Aaj ham banayege Veg Milk Soup,yah swadist hone ke sath-sath postic bhi hai,aur sardiyo me garma-garam soup mil jaye to dil khush ho jata hai.To aaiye dudh se mil kar banne vala Veg milk soup banate hai.......Read More(Recipe Padhiye)

86. How to Make Cabbage Soup for Weight Loss-

Cabbage Soup

Aaj ham diet soup banayege, ye aapka weight loss karne me bohat faydemand sabit hoga.To aaiye banate hai cabbage diet soup/cabbage soup for weight loss.........Read More(Recipe Padhiye)

87. How to Make Mix Veg Soup: Best Recipe in Hindi-

Mix Veg Soup

Kadak sardiyo ke din , aur khane se pehale garma-garam soup peene ko mil jaaye .To aaiye aaj ham Mixed Vegetable Soup banaye........Read More(Recipe Padhiye)

88. How to Make Mushroom Soup-

Mushroom Soup

Mushroom soup kayi tarah se banaya jata hai lekin makhan ke sath kute masale me stir fry kiye hue mushroom ki cream se bane mushroom soup ka koi mukabla nahi..........Read More(Recipe Padhiye)

89. How to Make Cauliflower Paratha: Gobhi ka Paratha-

Gobhi ka Paratha

Cauliflower paratha,sun ke hi muh me pani aa gya hoga,hai na.Gobhi ka paratha bohat hi mashhur punjabi dish hai,vaise to ye breakfast hai par aap jab chahe tab banaye aur khaiye.
Aaiye suru karte hai gobhi ka paratha recipe...........Read More(Recipe Padhiye)

90. How to Make Paneer Paratha-

Paneer Paratha

Aaj sham ya subah ke nashte me makhan ke sath bharva paneer ke parathe bnaiye aur kha kar dekhiye khane ka aanand dugna ho jayega .Mujhe to ye parathe nashte me makhan ke sath bohat hi svadist lagte hai,To aaiye bnate hai bharva paneer ke parathe............Read More(Recipe Padhiye)


91. How to Make Little Hearts Biscuit-

Little Hearts Biscuit

Aaj ham little hearts cookies banayege,yah khane me jitani swad hai dekhne me utani hi ashi bhi hai,aap valentine day ko inhe bna kar apne kisi khas ko pesh kar sakte hai.To aaiye banate hai little hearts biscuit..........Read More (Recipe Padhiye)

92. Ginger Biscuits Recipe-

Ginger Biscuit

Ginger biscuits kuch special masale aur golden syrup daal kar banayi hui,bohat hi swadist spicy mulayam cookies hai.Aap mitha pasand karte ho ya namkin,dono hi halat me aapko yah khas swad vali ginger biscuits bohat pasand aayege..........Read More (Recipe Padhiye)

93. Cornmeal Muffins Recipe (Makki ki Muffins)-

Cornmeal muffins


Naram mulayam halke mithe makke ke muffins banane me itane aasan ki kabhi bhi banaiye aur inhe chay ke sath parosiye ya bacho ke tifin me rakhiye.Sabhi ko pasand aayege..........Read More (Recipe Padhiye)

94. Almond Cookies Recipe-

Almond Cookies

Swadist almond cookies Christmas par parampragat roop se banaa kar mehmano ko parosi jati hai.Lekin aap jab man chahe tab banaiye.Aaiye banate hai Almond cookies..........Read More (Recipe Padhiye)

95. Cashew and Almond Biscuit Recipe-

Cashew and Almond, Biscuits

Kaju,badam se bani khasta kurkari cookies bacho ko to pasand aati hi hai,aapko bhi bohat pasand aayegi.......Read More (Recipe Padhiye)

96. Buttermilk Biscuits Recipe-

ButterMilk Biscuits

Oven se nikle hue taja buttermilk biscuits ko khane ka mja kuch khas hi hai.Mulayam fule-fule aur kurkare buttermilk biscuits banana bhi bohat aasan hai.......Read More (Recipe Padhiye)

97. Coconut Cookies Recipe-

Coconut Cookies

Ghar ki bani yummy-yummy 😋coconut cookies ,kurkari itani ki muh me jaate hi bikhar jaaye.Aaj chay ka sath dene ke liye nariyal cookies bna kar dekhiye.Bacho ke sath-sath bado ko bhi bohat pasand ayegi aapki swadist cookies.........Read More (Recipe Padhiye)

98. Nankhatai Recipe without Oven-

Nankhatai, recipe

Aaj ham besan ki nankhatai pan me banayege,bohat ashi naan khatai banti hai. Nankhatai ko ham gas par kisi bhari tale ke bartan ya cooker me bhi banaa sakte hai.Bina oven ke bhi yah naan khatai utani hi ashi banti hai ,jitani oven me.Aaj ham bina oven ke pan me besan ki nankhatai banayege.......Read More (Recipe Padhiye)

99. Chocolate Dipped Shortbread Cookies Recipe-

Chocolate Dipped Shortbread, Cookies

Jab bhi aapka man tyohar manane ka ho to aap chocolate me duboi shortbread cookies bna kar  dekhiye .Aapki khushi me char chand lag jaayege.............Read More (Recipe Padhiye)

100. Ajwain Biscuits Recipe-

Ajwain Biscuits

Ajwain Biscuits kurkare namkin meethe swaad ke sath-sath ajwain ke khas swaad ke karan bohat pasand kiye jaate hai, aur chay ke sath to ye lajvab lagte hai..........Read More (Recipe Padhiye)


101. Chocolate Milkshake Recipe-

Chocolate MilkShake

Chocolate Milkshake, iska naam sunte hi muh me pani aane lagta hai.Yah shake banane ke liye sirf tin hi samgri ki avshykta hai- Dudh, Chocolate syrup aur Ice cream.
To aaiye aaj ham bacho ka favorite chocolate shake bnate hai...........Read More(Recipe Padhiye)

102. Mango Shake Recipe-

Mango Shake Recipe

Aam ka mosam aaye aur aap aam ka shake na banaye bhala ye bhi koi baat hui?Aamo ka swad sabhi ko bohat bhata hai.Aamo se bana hua shake to usse bhi adhik swadist hota hai, bacho ko dudh pina asha nahi lagta, lekin iss shake ke liye ve mana nahi karege.To aaiye aaj ham mango shake banaye...........Read More(Recipe Padhiye)

103. Banana MilkShake Recipe-

Banana MilkShake



Garmi me rahat dene vale drinks ke kram me aaj ham aapke sath banana milk shake Recipe Share kar rahe hai.Banana me Vitamin A, Iron, Calcium, Magnesium, Potassium aadi tatv paye jate hai.Yah urja se bharpur hota hai, hadiyo ko majbut karta hai, weight gain karne me madad karta hai, sugar ko control me rakhta hai.........Read More(Recipe Padhiye)

104. Bael Fruit Juice Recipe-

Bael Fruit Juice
Thande ka matlab cocacola to bilkul bhi nahi hota.Garmiyo ke thapede me jo rahat prakartik drinks se milti hai iska botalo me bhare nakli mithe pani se kya tulna.

Subah office nikalte samay yadi aap bael ke sharbat ka ek glass lai le to din bhar garmi aur lu se bache rahege.

Prakartik peyo me aam ka pana, Tarbuj ka sharbat🍸, dahi ki lassi🍹,Thandai🍺, aam ka sharbat ya false ke sharbat ke sath-sath Bael ka sharbat(wood 🍹Apple or Golden Apple) bhi bana kar dekhiye aur asli thandak anubhav kijiye.Aaiye aaj bel ka sharbat banaye..........Read More(Recipe Padhiye)

105. Mango Lassi Recipe-

Mango Lassi
Garam hawa ke thapedo se bhare is mosam me sharir ko travat dene vala healthy drink Mango Lassi or Aam ki Lassi.........Read More(Recipe Padhiye)

106.Malai Kulfi Recipe-

Malai Kulfi



Is mosam me bacho ko ice cream ki bjay khilaye malai kulfi,Isse banana aasan bhi hai.Dudh aur sukhe mevo se bani lajavaab malai kulfi ka svad bacho ke sath-sath bado ko bhi bohat pasand aata hai.To aaiye banaye malai kulfi......Read More(Recipe Padhiye)

107.Mango Icecream Recipe-

Mango Icecream
Hello friends,aaj ham mango icecream banayege,mango to sabko pasand hota hai ,bacho ko bhi aur bado ko bhi aur icecream to bacho ki jaan hoti hai.Garmi ka mosam matlab aam ka mosam ,aam ka sharbat,aam ka achaar, aam papad bohat saari chije hoti hai aam ki kyoki aam falo ka raja hai.
aaiye ham banate hai mango icecream......Read More(Recipe Padhiye)

108.Pineapple Icecream Recipe-

Pineapple Icecream
Khata-mitha fal hone ke sath अनानस स्वास्थ्य के लिए बहुत फायदेमंद हैah aapke sharir ki prtirodhak shamta ko bdhata hai.Isme calcium, fiber aur vitamin c adhik matra me paya jata hai.To aaiye banate hai Pineapple Icecream Recipe.........Read More(Recipe Padhiye)



Please Jrur bataye kaisi lagi aapko hamari Easy Veg Recipes: Vegetarian Main Dishes.


Subscribe Us by Email and Get Free Updates On Hot Topics!
Share:
"+y+""}else{if(A==5){c+='
  • '+w+""+y+"
  • "}else{if(A==6){c+='
  • "+w+'
    '+u+""+y+"
  • "}else{c+='
  • "+w+"
  • "}}}}}s.innerHTML=c+=""+y;d.callBack()};randomRelatedIndex=h;showRelatedPost=g;j(d.homePage.replace(/\/$/,"")+"/feeds/posts/summary"+e+"?alt=json-in-script&orderby=updated&max-results=0&callback=randomRelatedIndex")})(window,document,document.getElementsByTagName("head")[0]); //]]>
    Copyright © Veg Recipes About | Privacy | Contact