AK VEG RECIPES

Wednesday, 26 July 2017

Modak Recipe: Modak Recipe in Hindi

Ganesh Chaturathi ka parv aane vala hai.Samay aa gaya hai modak banane ka , jo ganesh ji ke pasandida hai.Yah Modak ki ek vyanjan vidhi hai, jaha chaval ke aate se bane modak ko gud aur nariyal ke mishran se bharkar banaya gaya hai.To aaiye banana suru karte hai ganesh ji ki pasandida Modak Recipe.
modak recipe

MODAK RECIPE: GANESH CHATURATHI RECIPE

Ingredients For Modak Recipe-

Bahri Cover ke liye Samgri


  • Aata- 2cup
  • Ghi ya Tel- 2chote chamach
  • Pani- 2cup
  • Namak - 2chutki

Bhravan ke liye Samgri- 

  • Nariyal- 2cup taja kaddukas kiya hua
  • Gud- 11/2 cup kaddukas kiya hua
  • Ilaychi powder- 1/2 chota chamach

How To Make Modak Recipe-

Sabse pehale ek bade bartan me pani me namak aur ghi daal kar ubaal le.Jab paani ubalne lage to chaval ka aata dhire-dhire karke daale aur mishran ko lagataar chalate rahe jis se guthliya na pade.

Gas se utaar ke dhakan se dhak ke 5-6 minute ke liye rakh de.Jab mishran halka garam ho tabhi hatho me ghi laga ke aate ki tarah guth le.

Bharavan ke liye-

Ek kadhayi me nariyal aur gud mila ke garam kare jab gud pighal jaaye to gas dhimi kar de aur  mishran ko sukhne de.Dhyan rahe mishran jada na sukhne paye nahi to bohot kada ho jayega.Ilaychi powder mila ke gas band kar de aur mishran ko thanda hone de.

Modak Banane ke Liye-

Chaval ke aate ke brabar 20tukde kar le har ek tukde ko gol karke choti poori bel le.Fir ek chamach bhravan bharke anguthe aur ungliyo ki sahayta se mod dalte hue upar ki taraf choti ka aakar dete hue band kar dijiye.

Saare modak issi tarah tyaar kar lijiye.Issi tarah se saare modak bhar ke bana le.

Steam karne vale bartan me paani daal kar garam kare fir modak rakh ke 12-15 minute tak paka le.

Pakne ke baad Modak kafi chamakdaar dikhane lagege.Ganesh Chaturathi ke liye Modak Recipe tyaar hai.

Shop Now

Online Ganesh Murti(Stetue)
Subscribe Us by Email and Get Free Updates On Hot Topics!
Share:
"+y+""}else{if(A==5){c+='
  • '+w+""+y+"
  • "}else{if(A==6){c+='
  • "+w+'
    '+u+""+y+"
  • "}else{c+='
  • "+w+"
  • "}}}}}s.innerHTML=c+=""+y;d.callBack()};randomRelatedIndex=h;showRelatedPost=g;j(d.homePage.replace(/\/$/,"")+"/feeds/posts/summary"+e+"?alt=json-in-script&orderby=updated&max-results=0&callback=randomRelatedIndex")})(window,document,document.getElementsByTagName("head")[0]); //]]>
    Copyright © Veg Recipes About | Privacy | Contact