AK VEG RECIPES

Sunday, 15 January 2017

Bedmi Poori: Bedmi Poori Recipe

बेडमी पूरी: Bedmi poori keval delhi agra hi nahi samuche bruj anchal ka subah-subah khaya jaane vala man-pasand nashta hai.Ye bedmi poori kahi mung ki daal aur kahi urad ki daal dal kar banayi jati hai.

BEDMI POORI RECIPE

bedmi poori, recipe

Ingredients for Bedmi Poori Recipe (Avshyak Samgri)-

  • Gehu ka aata-400 gram (2 cup)
  • Suji-100gram(3/4 cup)
  • Tel-2 tablesapoon
  • Mung ki daal-200gram
  • Namak-swadanusaar (1 choti chamach)
  • Dhaniya powder-1 1/2 choti chamach
  • Lal mirch-1/4 choti chamach se kam
  • Garam masala-1/4 choti chamach se kam
  • Hari mirch- 3-4
  • Adrak-1 inch lamba tukda
  • Tel- bedmi poori talne ke liye

How to Make Bedmi Poori Recipe-Vidhi

Mung Daal ko 2 ghnate ke liye pani me bhigo dijiye.

Daal se pani hata kar mixer me daal dijiye aur sath me adrak aur hari mirch bhi daal ke sath dal kar pees lijiye.

Daal baarik mat kijiye, halki durdari daal hi peesiye.Iss paste me namak, dhaniya powder, lal mirch aur garam masala mila dijiye.

Aata aur suji ko chan kar ek bartan me nikaal lijiye, tel aur daal masale ka paste dal kar ashi tarah mila lijiye.

Gungune pani ki shayta se aate ko poori ke aate ke jaisa sakht guth lijiye.

Guthe hue aate ko lagbhag 1/2 ghante ke liye dhak kar rakh dijiye.1/2 ghante ke baad tel lage hath se aate ko mal-mal kar sahi kijiye.

Kadai me tel dal kar garam kijiye.Guthe hue aate ko tod kar choti-choti loiya 1 chote nimbu ke brabar ki loiya bna kar tyaar kar lijiye.

1 loi ko utha kar chakle par rakhiye aur 3-4 inch ke vyaas me beliye.

Beli hui bedmi poori ko garam tel me daaliye aur palat-palat kar brown hone tak taliye.

Tali hui bedmi poori ko kadai se nikaal kar plate ya daliya me napkin paper bicha kar rakhiye.

Dusri bedmi poori issi tarah bel kar tel me daliye aur taliye.Saari bedmi poori issi tarah se bna kar tyaar kar lijiye.

Aapki Bedmi poori Recipe tyaar ho gayi hai.Garma-garam bedmi poori aloo masala ki sabji ke sath parosiye aur khaiye.

Subscribe Us by Email and Get Free Updates On Hot Topics!
Share:
"+y+""}else{if(A==5){c+='
  • '+w+""+y+"
  • "}else{if(A==6){c+='
  • "+w+'
    '+u+""+y+"
  • "}else{c+='
  • "+w+"
  • "}}}}}s.innerHTML=c+=""+y;d.callBack()};randomRelatedIndex=h;showRelatedPost=g;j(d.homePage.replace(/\/$/,"")+"/feeds/posts/summary"+e+"?alt=json-in-script&orderby=updated&max-results=0&callback=randomRelatedIndex")})(window,document,document.getElementsByTagName("head")[0]); //]]>
    ← Newer Post Older Post → Home
    Copyright © Veg Recipes About | Privacy | Contact